koan sa sajda tha k hum ada na krtay,
ger teray ishq ki na hum tamana krtay,
garchay ho khoab andaz e biyan b,
kyun teray pyar ko hum fasana krtay?
mudataon bad b usko daikha to kaha,
tum kisi toar to ana jana krtay.
wo zoaq e tamana he nahi k jis k liye,
kocha o bazar mai, jana jana krtay..
jal utha hai dil e nadan sulag utha hai,
ab kya ehl e jahan aur bahana krtay.
No comments:
Post a Comment