Tuesday, January 3, 2012

WOHI PYAR THA....

tumhay yad hai,
wo jo gham ki aag mai jal utha, 
wohi pyar tha, 

tumhay yad hai,
jo kabhi tha apnay darmiyan,
jisay tum kehtay thay mojza,
wohi pyar tha.

shab e wasl jesay guzar gae,
shab e hijr guzar he jaye ge,
mgr yad rakh dil be khabar,
ye tarap kabhi nahi jaye ge,
tujhay yad meri to aye ge,
phir sisak sisak k tanhai mai,
wo purani baton ko socha, 
to smaj mai shayed ye aa uthay,
jisay tum hansi mai ura a gaye,
jisay ana ka masla bana gaye,
wo jo gham ki aag mai jal utha,
wohi pyar tha.. 
wohi pyar tha..

AB KYA EHL E JAHAN AUR BAHANA KRTAY


koan sa sajda tha k hum ada na krtay,
ger teray ishq ki na hum tamana krtay,
garchay ho khoab andaz e biyan b,
kyun teray pyar ko hum fasana krtay?
mudataon bad b usko daikha to kaha,
tum kisi toar to ana jana krtay.
wo zoaq e tamana he nahi k jis k liye,
kocha o bazar mai, jana jana krtay..
jal utha hai dil e nadan sulag utha hai, 
ab kya ehl e jahan aur bahana krtay.